Pack "C" Roman Eng
Gunah aur Nijat (8 aayat)
8 verses
aarianaaa786
Feb. 16, 2026
ur
1
-
1patras 5:1-4URD
Tum me say jo buzurg hain me un ki tarah buzurg aur Esa ki dukhoon ka gawah aur zahir hony waly jalal me shareek ho kar unko yeh naseeyat karta hoon ke khuda ke us gala ki galabani karo jo tum me hai. Lachari say nigabani na karo balky Khuda ki marzi ke muwafiq khushi sy aur najaiz nafa ke liay nahi balky dili shoq sy. Aur jo log tumary supurd hain un per hakoomat na jatao balky gala ke liay namoona bano. Aur jab sardar galaban zahir ho ga to tum ko jalal ka aesa sera mily ga jo murjaye ga nahi
-
1 Yuhana 1:9URD
Agar hum apny gunahoon ka iqrar karain to wo hamary gunahoon ko mahaf karny aur apni sari narasti sy pak karny me sacha aur adil hai
-
1Yuhana 2:6URD
Jo koi yeh kehta hai ke me us ne qaim hoon to chaeay ke yeh be us he tarah chaly jis tarah wo chalta tha
-
Ifsiyoon 4:11-13URD
Aue us he nay bhez ko Rasool aur bhez ko Nabi aur bhez ko Mubashir aur bhaz ko Churwaha aur Ustad bana kar bhej diya. Ta ke muqadas log kamil banyen aur khidmatguzari ka kam kiya jaye aur Esa ka badan taraqi paye. Jab tak hum sab ke sab Khuda ke bety ke eman aur us ki pechan me aik na ho jayen aur kamil insan na banyen yahni Esa ke pory qad ke andaza tak na ponch jayen
-
Ifsiyoon 4:14-16URD
Ta ke hum aagy ko bachy na rahain aur admiyoon ki bazigari aur makari ke sabab sy un ke gumrah karny waly mansoobon ki taraf har aik tahleem ke jhonky sy mojoon ki tarah ucalthy behty na phiryeen. Balky mohabat ke sath sachai per qaim reh kar aur us ke sath jo sar hai yahni Esa ke sath pewasta ho kar har tarah sy barhty jayeen. Jis sy sara badan har aik jor ki madad sy pewasta ho kar ghat kar us taseer ke muwafiq jo baqadar har hisa hoti hai apny aap ko barhata hai ta ke mohabat me apni taraqi karta jaye
-
Luka 6:40URD
Shagird apny ustad say bara nahi balky har aik jab kamil hua to apny ustad jesa ho ga.
-
Mati 18:20URD
Kiun ke jahan do ya teen mere naam per ekathy hain wahan me un ke bech me hoon.
-
Mati 6:33-34URD
Balky pehly tum us ki badshahi aur us ke rastbazi ki talash karo to yeh sab chezyeb be tum ko mil jayen gi. Pas kal ke liay fikar na karo kiun ke kal ka din apny liay aap fikar kar lay ga. Aj ke liay aaj he ka dukh kafi hai.
IMPORT