Pack "A" Roman Eng
Esa Kon? 17 aayat
18 verses
aarianaaa786
Feb. 16, 2026
ur
1
-
1 Patras 2:9URD
Khuda apny loogon ko Izzat dayta hai
Lakin tum aik burgazeeda nasal. Shahi kahnoo ka firqa. Muqadas qom aur aesi umat ho jo Khuda ki khas malkiyat hai ta ke us ki khoobiyan zahir karo jis nay tumy tareeki sy apni ajeeb roshni me bulaya hai
-
2 Thimothias; 1:7URD
khuda ki Taqat ( Insani taqat nehi
Kiun ke Khuda nay humy khof ki roh nei, balky taqat, mohabat, aur tarbiyat ki ruh di hai.
-
Ahmal 2:24URD
Rafaqat aur Esa ka jism
Aur yeh rasoolon say taalim pany aur rafaqat rakhny me aur roti torny aur dua karny me mashgul rahy.
-
Efsiyon 2:8-9URD
Fazal say Nijat na ke Ahmal say.
Efsiyon 2:8-9
-
Luka 4:40-41URD
Esa nay kya keya?
Jab din dhal giya to sab muqami log apny marezoon ko Esa ke pas laye. Khawa un ki bimariyaan kuch be kiun na thi. Us nay har aik per apna hath rakh kar usay shifa di” .
-
Luka 6:31URD
Esa nay kya kaha?
“Logon ke sath wesa salook karo jesa tum chahty ho ke wo tumary sath karain”.
-
Mati 28:18-20URD
Bara Hukam
Esa nay pas aa kr un sy batain ki aur kaha ke “Asman aur zameen ka kul ikhtiyar mujy diya giya hai. Pas tum ja kr sab qomo ko shagird banao. Aur un ko Bap aur Bety aur Ruh ul Quds ke nam sy baptisma do. Aur un ko yh tahleem do ke wo un sab batoon per amal karain jin ka me nay tum ko hukam diya hai. Aur dekho me duniya ke akhir tak hamesha tumary sath hoon”.
-
Mukashfa 21:4URD
Umeed, Qiyamat aur Akhri Fatah
4
Aur wo un ki ankhoon ke sab ansu ponch dy ga. Es ke baad na mot rahy gi aur na matam rahy ga. Na ah o nala na dard. Pehly chezen jati raheen. -
Romiyon 10:9-10URD
Iqrar, Eman, aur Alania wafadari
Agar too apni zuban say yasuh ke khudawand hoony ka iqrar aur apny dill say eman lay ke khuda nay usay murdoon me say jalaya, to nijat pay ga. Kiun ke dill say eman lany say raastbazi haasil hoti hai, aur muh say iqrar karny say nijat.
-
Romiyon 8:15URD
Esa me shanakhat (nehi shanakhat, naya khandan
Kiun ke tum ko gulami ki rooh nahi mili jis say phr dar paida ho balky tum nay bety ki rooh hasil ki hai, jis ke zariay hum bap ko “ah bap” keh kar pukar sakty hain.
-
Yasaiya 45:5URD
khuda kon hai? (Aik sacha Khuda)
“Me he Rab hun aur mere siwa koi aur Khuda nehi hai. Go tu mujy nahi janta tha to be me tujy kamar basta karta hoon”.
-
Yasaiya 53:5URD
Saleeb aur muhafi
Halanke wo humari khataon ke sabab say ghayal keya gaya aur humari badkirdaari ke baais kuchla gaya. Humari he salamati ke liye us per saza hui ta ke us ke mar khany say hum shifa paain.
-
Yasaiya 53:6URD
Gunah aur Insani Halat
Hum sab bheroon bakrioon ki tarah awara phir rahy thy, har aik nay apni apni rah ikhtiyar ki .lykin Rab nay usay hum sb kay kasoor ka nishana banaya
-
Yuhana 12:26URD
Izzat, Sharm, aur yasuh ka rasta
Agar koi shakhs meri khidmat kary to mery pichy ho ly aur jahan me hoon wahan mera khadam bhi ho ga. Agar koi meri khidmat kary to bap us ki izzat kary ga
-
Yuhana 14:6URD
Esa Kon Hai?
“Esa nay jawab diya ke rah aur haq aur zindgi me hun. Koi mere waseela ke bager baap ke pas nehi aata
-
Yuhana 15:18URD
Yasuh ki Atahat aur Perwi ki Qimat
Agar duniya tum sy adawat rakhti hai to tum janty ho ke us nay tum sy pehly muj sy be adawat rakhi hai.
-
Yuhana 5:24URD
Nijat ka yakeen
Me tum say sach kehta hoon ke jo mera kalam soonta aur mery bhajnay waly ka yakeen karta hai hamesha ki zindagi us ki hai, aur us per saza ka hukam nahi hota balky wo mot say nikal kar zindagi me dakhil ho gaya hai.
-
Zaboor 34:18URD
Khuda ke sath tahlaq (dar per mabni nahi)
Khuda un ke qareeb hai jin ka dill twota huwa hai, aur jo intahai kamzor jan hain, unhayn bachata hai.
IMPORT